Monday, October 5, 2015

Tujhe fir yaad kia.!

Ha aaj sanam maine, fir waqt barbaad kia...
Fir teri baatein ki... Fir tujhe yaad kia...
Ha aaj sanam maine...

Dil ne chhedi fir kahani.. Vahi ghisi piti aur purani...
Khud se fir kiya samjhota, bohot ho gyi dil ki manmaani...
Ghanto fir dil se vahi vaad-vivaad kia..
Ha aaj... Ha aaj sanam maine, fir waqt barbaad kia..
Fir teri baatein ki.. Fir tujhe yaad kia..
Ha aaj sanam maine...

Dekh fir aaj baithh gya, labzo ko kavita me sajaane...
Fir lag gya tujhe mann me hi apne kisse sunaane...
Dil k bawandar ko fir aaj maine, kaagaz pe aazaad kiya..
Ha aaj... Ha aaj sanam maine, fir waqt barbaad kia..
Fir teri baatein ki.. Fir tujhe yaad kia..
Ha aaj sanam maine...

Sab keh gya tujhse, baat fir bhi baaki hai...
Labz karte mere, jaane kya gustaakhi hain..
Tujhe le k dil ne ek sapna, fir dil me aabaad kia...
Ha aaj... Ha aaj sanam maine, fir waqt barbaad kia..
Fir teri baatein ki.. Fir tujhe yaad kia..
Ha aaj sanam maine....

2 comments: